Internet se paise kaise kamaye انٹرنیٹ سے پیسے کیسے کمائیں
Internet se paise kaise kamaye انٹرنیٹ سے پیسے کیسے کمائیں
Humare mulk mein berozgari barhti ja rahi
hai, jobs kam ho rahi hain, government job milna to aik mushkil kam hai. aise
halat mein ya to awam hakomat ko ilzam dy sakti hai ya phir apna koi chota mota
kam start kar sakty hain.
Online jobs in Pakistan for students without investment Urdu
Online jobs in Pakistan for students without investment Urdu
Business karne k leay ap
ko investment ki zarorat hoti hai, ab business karne k leay har bandy k pass
investment nahi hoti, aise halat mein aik or option bhi hai or wo hai online
paise kamana, Pakistan, India, Bangladesh jaise mumalik mein bahot se log online
earning k zarye mahana lakhon rupaye kama rahye hain.
Internet, social media
par aksar aise sawal pochy jaty hain…
Internet se paise kaise kamaye?
online earning kaise kare?
Online earning k kitne tariqy hain?
Ye blog post un logon k leay hai jin k demagh
mein ye sawal mojood hain main pori koshish karun ga ap ko in sawalon ka jawab
mil jaye.
Pehli bat to ye hai internet se paise
kamana itna asan bhi nahi jitna kuch
log samjhty hain online earning field mein any wala har naya banda ye
samjhta hai bus hum ne computer screen k agy beth jana hai or mouse click karty
jana hai or humen dollar milna start ho jayen gy, logon ki isi soch ki wajah se har sal
mukhtalif companies logon k lakhon rupay le kar bhag jati hain.
Youtubers online piase kaise kamaye
Internet par kam karna aisy he hai
jaise koi banda roz subha uth kar office kam karne jata hai, job k start mein
ap ko kam paise milty hain kam zyada karna parta hai, isi tarhan internet
par starting mein ap ko kam zyada karna parta hai or paise kam milty hain,
jaise jaise ap apne kam mein expert hoty jaty hain ap ki income bhi barhna
shuru ho jati hai.
Ab bat karty hain Internet se paise kamaye
k kon kon se tariqy hain.
Youtube
Agar ap k pass koi skill hai, ya ap kisi
topic par acha bol sakty hain to ap youtube chanel bana sakty hain. Youtube
channel muhtalif topic par bnaya ja sakta hai, lekin ap os topic par kam Karen
jis mein expert hain. Youtube chanel par ap ne video bana kar upload
karni hai, shoroat mein bahot se logon ko samajh nahi ati k wo kis topic par video
bnaye wo log har kisam ki video bana kar apne chanel par upload kar dety hain,
aik video mein agar graphic designing sikha rahe hain to dosre mein video
editing, or tesri video mein kuch or bta rahe hoty hain. Koshish Karen kisi aik
topic par video bnaye, video quality or content acha hona chaye. Aik dafa ap ka
channel kamyab ho gya os par views ana shuru ho gaye to ap adsense k zarye
os ko monetize kar payen gy, os k ilawa affiliate products sell kar bhi
paise kama sakty hain.
New youtubers ko starting par
audience bnanye or channel par traffic lany par dehan dena chaye jub ap
k channel par log ana shuru ho jayen gy to ap ko achi income ho gi.
Blogging
Blogging online paise kamany ka aik
purana or mashoor tariqa hai jis k zarye log lakhon rupy kama rahy hain, blogging
k leay 2 plateform mashoor hain blogger or word press. Word press
par blog bnany k leay ap ko hosting ki zarorat hoti hai or aik domain ki, agar
ap blogger par blog bnaty hain to is k leay ap ko domain or hosting
ki zarorat nahi hoti, lekin agar ap ko
achi domain lena chahen to le kar blog k sath link kar sakty hain. Blog par
content likhne k bad ap apne blog ko ad networks k zarye monetize kar sakty
hain. Sub se acha or kamyab ad net work google adsense hai. blog se ad network
k sath affiliate marketing se bhi paisa kamaya ja sakta hai.
Agar ap ka blog English mein hai to ap os
se achi income kar sakty hain. urdu blog se honye wali kamai bahot kam hoti
hai.
Blogging k zarye paise kamny walon ko mera
mashwara hai starting mein blog traffic par dehan dein juba ap k blog par achi
traffic ana shuru ho gai to ap ko achi earning ho gi.
Freelancing
Pakistan mein bahot se log freelancing
se online earning kar rahe hain, ye online erning ka aik acha tariqa
hai. agar ap graphic designer hain, content writer hain, web development ka kam
janty hain to ap freelancing se online
paise kama sakty hain. In kamon k ilawa bhi or bahot see skills hain jin ki
madad se ap freelancing ki field mein paisa kama sakty hain.
Freelancing ki shorat mein
mukhtalif freelancing website par apna account bnaye, apna seller account professional
ki tarhan ka bnyaen jis mein ap k kam ki mukamal detail mojood ho. Aj kal in
websites par bahot muqabla hai professional bandy ko he kam milta hai.
Freelancing websites par mukhtalif
qisam k projects publish hoty rehty hain , un par apply Karen or kam ko achy
tariqy se kar k deliver Karen, wo banda jis ne ap ko project dia ho ga wo kam
ko check kare ga agar koi changing karni hui to wo ap se karwaye ga, os k bad
wo ap k kam ko approve kar le ga, os k bad freelancing website apna
comession katny k bad ap k paise ap k account mein bhj dy gi.pakistan mein
rehny wale apne paise payoneer or skrill account k zarye mangwa sakty
hain.
Agar ap in freelancing sites k sath kam
nahi karna chahty to social media k zarye bhi kam le sakty hain es kam k leay
thori mehnat ki zarorat hai. freelancing mein ap ko apne ap ko aik brand ki
tarhan paish karna hota hai.
0 Comments